जो लम्हे थे सुकूँ के सब मदीने में गुज़ार आए
दिल ए मुज़्तर वतन में अब तुझे कैसे क़रार आए
यही तो सूरत ए वज्ह ए क़रार ए ज़िंदगानी है
बुलाएँ तो क़रार आए वो आएँ तो क़रार आए
ख़ज़ाँ को हुक्म है दाख़िल न हो तयबा की गलियों में
इजाज़त है नसीम आए सबा आए बहार आए
ये बस्ती अहल ए दिल की और दीवानों की बस्ती है
गए जितने ख़िरद नाज़ाँ वो दामन तार तार आए
जबीं हो आस्ताँ पर हाथ में रोज़े की जाली हो
ये लम्हा ज़िंदगी में ऐ ख़ुदा फिर बार बार आए
जबीं हो उन के दर पर हाथ में रोज़े की जाली हो
ये लम्हे ज़िंदगी में ऐ ख़ुदा फिर बार बार आए
त’अय्युन मस्जिद ओ मेहराब का तयबा में क्या होता
जहाँ नक़्श ए क़दम देखे वहीं सज्दे गुज़ार आए
क़लम जब से हुआ है ख़म अदीब आक़ा की मिदहत में
बड़े रंगीं हुए मज़मूँ बड़े नक़्श ओ निगार आए
क़लम जब से हुआ ख़म नात ए अहमद में अदीब अपना
बहुत रंगीं हुए मज़मूँ बड़े नक़्श ओ निगार आए
Jo Lamhe The Sukoon Ke Sab Madine Mein Guzaar Aaye
dil-e-muztar ! watan me.n ab tujhe kaise qaraar aaye
yahi to soorat-e-waj.h-e-qaraar-e-zindagaani hai
bulaae.n to qaraar aaye, wo aaye.n to qaraar aayeKHazaa.n ko hukm hai daaKHil na ho tayba ki galiyo.n me.n
ijaazat hai naseem aaye, saba aaye, bahaar aaye
ye basti ahl-e-dil ki aur deewaano ki basti hai
gaye jitne KHirad-naazaa.n wo daaman taar-taar aaye
jabee.n ho aastaa.n par, haath me.n roze ki jaali ho
ye lamha zindagi me.n, ai KHuda ! phir baar baar aaye
jabee.n ho un ke dar par, haath me.n roze ki jaali ho
ye lamhe zindagi me.n, ai KHuda ! phir baar baar aaye
ta’ayyun masjid-o-mehraab ka tayba me.n kya hota
jahaa.n naqsh-e-qadam dekhe wahi.n sajde guzaar aaye
qalam jab se huaa hai KHam, Adeeb ! aaqa ki mid.hat me.n
ba.De rangee.n hue mazmoo.n, ba.De naqsh-o-nigaar aaye
qalam jab se huaa KHam naa’t-e-ahmad me.n, Adeeb ! apna
bahut rangee.n hue mazmoo.n, ba.De naqsh-o-nigaar aaye