WhatsApp logo Join Naat Group

Mil Gaya Mujh Ko Sharf e Huzoori Agar / मिल गया मुझ को शर्फ़े हुज़ूरी अगर

मिल गया मुझ को शर्फ़े हुज़ूरी अगर
मैं कहूं क्या क्या सर पर उठा लाऊंगा
आईना दिल का ले कर के जाऊंगा मैं
और मदीने का मन्ज़र उठा लाऊंगा

करबला में ये बादल ने आ कर कहा
ए हुसैन ए शहंशाहे सब्रो रज़ा
आप आक़ा हैं इर्शाद फ़रमाइये
बूँद क्या मैं समुन्दर उठा लाऊंगा

अपने जैसा वो कहता है सरकार को
शर्म आती नहीं नजदी ग़द्दार को
पहले चेहरा मिला लेना ऐ नजदिया
सामने तेरे बन्दर उठा लाऊंगा

जाने क्यूं उस नबी पर न क़ुर्बान हो
जिन का रेहमत में डूबा ये फरमान हो
होगी जिस जिस जगह प्यासी उम्मत मेरी
मैं वहीँ हौज़े क़ौसर उठा लाऊंगा

Mil Gaya Mujh Ko Sharf e Huzoori Agar
Main kahoon kya kya sar par utha laaunga
Aaina dil ka le kar ke jaaunga main
Aur Madine ka manzar utha laaunga

Karbala mein ye baadal ne aa kar kaha
Ae Hussain ae Shahenshah-e-sabr-o-raza
Aap aaqa hain irshaad farmaayiye
Boond kya main samundar utha laaunga

Apne jaisa wo kehta hai Sarkar ko
Sharm aati nahi Najdi gaddar ko
Pehle chehra mila lena ae Najdiya
Saamne tere bandar utha laaunga

Jaane kyun us Nabi par na qurbaan ho
Jin ka rehmat mein dooba ye farmaan ho
Hogi jis jis jagah pyaasi ummat meri
Main wahin Hauz-e-Kausar utha laaunga