WhatsApp logo Join Naat Group

Jahaan Ka Badla Hai Manzar Mere Sarkar Aaye Hain / जहां का बदला है मंज़र मेरे सरकार आए हैं

जहां का बदला है मंज़र मेरे सरकार आए हैं
जनाबे आमिना के घर मेरे सरकार आए हैं

मेरे मौला ने फ़रमाया है के जिब्रील तुम परचम
लगाओ काबे की छत पर मेरे सरकार आए हैं

फ़रिश्तो करने दो मुझको जि़यारत उनके चेहरे की
के मेरी क़ब्र के अंदर मेरे सरकार आए हैं

जो देखा सय्यदा ज़हरा ने तो आंसू निकल आए
शिकम पर बांधकर पत्थर मेरे सरकार आए हैं

कहा जिब्रील ने सिदरा तलक मेरी रसाई है
मगर अल्लाह से मिलकर मेरे सरकार आए हैं

मैं उनकी राह में पलकें बिछाऊं या बिछाऊं दिल
कहा जाबिर ने मेरे घर मेरे सरकार आए हैं

सुलाया अपने बिस्तर पर अ़ली को मेरे आका़ ने
मगर सिद्दीक़ को लेकर मेरे सरकार आए हैं

हटा लीजिए अंगूठा सांप ये बू बक्र से बोला
जि़यारत कर लूं मैं आकर मेरे सरकार आए हैं

Jahaan Ka Badla Hai Manzar Mere Sarkar Aaye Hain
Janabe-Amina ke ghar mere Sarkar aaye hain

Mere Maula ne farmaaya hai ke Jibraeel tum parCham
Lagaao Ka’be ki chhat par mere Sarkar aaye hain

Farishto karne do mujhko ziyaarat unke chehre ki
Ke meri qabr ke andar mere Sarkar aaye hain

Jo dekha Sayyada Zahra ne to aansoo nikal aaye
Shikam par baandhkar patThar mere Sarkar aaye hain

Kaha Jibraeel ne Sidra talak meri rasaai hai
Magar Allah se milkar mere Sarkar aaye hain

Main unki raah mein palken bichhaoon ya bichhaoon dil
Kaha Jabir ne mere ghar mere Sarkar aaye hain

Sulaaya apne bistar par Ali ko mere Aaqa ne
Magar Siddique ko lekar mere Sarkar aaye hain

Hata lijiye angutha saanp ye Boo-Bakr se bola
Ziyaarat kar loon main aakar mere Sarkar aaye hain