WhatsApp logo Join Naat Group

Hasrat Kahe Aankhon Ki Aur Dil Kahe Mastaana | Tazmeen of Be Khud Kiye Dete Hain Andaaz e Hijabana / हसरत कहे आँखों की और दिल कहे मस्ताना | तज़मीन बे ख़ुद किए देते हैं अंदाज़ ए हिजाबाना

हसरत कहे आँखों की और दिल कहे मस्ताना
दीवाने की आहों को क्या ठीक है तड़पाना
मुश्किल हुआ जाता है जज़्बात को समझाना
बे ख़ुद किए देते हैं अंदाज़ ए हिजाबाना
आ दिल में तुझे रख लूँ, ए जल्वा ए जानाना

चौदह सौ बरस पहले छलका था जो पैमाना
बग़दाद में कलियर में उस का है नशा ख़ाना
कहते हैं सभी तेरा है काम करीमाना
इतना तो करम करना ए नर्गिस ए मस्ताना
जब जान लबों पर हो तुम सामने आ जाना

बे-बस को यतीमों को सीने से लगाया है
दुनिया ने गिराया था आक़ा ने उठाया है
कहता हुआ इक आशिक़ दरबार में आया है
दुनिया में मुझे तुम ने जब अपना बनाया है
महशर में भी कह देना ये है मेरा दीवाना

ए याद ए नबी तेरा ग़म हँस के पीए जाऊँ
वो दिन न कभी आए बिन तेरे जिए जाऊँ
हर हाल में इक तेरा बस नाम लिए जाऊँ
क्या बात हो महशर में मैं शिकवे किए जाऊँ
वो हँस के कहे जाएँ दीवाना है दीवाना

कुछ ऐसी सलासत से उल्फ़त से मिले आँखें
मग़्मूम मेरे दिल का क़ासिद यूँ बने आँखें
दरबार में आक़ा के हर हाल कहें आँखें
जी चाहता है दे दूँ तोहफ़े में उन्हें आँखें
दर्शन का तो दर्शन हो नज़राने का नज़राना

बटते हैं ज़मीं पर जो सदक़े हैं इसी दर के
अफ़लाक पे रौशन वो ज़र्रे हैं इसी दर के
हासिल है मुझे जो कुछ रुत्बे हैं इसी दर के
बेदम तेरी क़िस्मत में सज्दे हैं इसी दर के
छूटा है न छूटेगा संग ए दर ए जानाना

जिस से थी ख़िरद आजिज़ वो इश्क़ ने कहलाई
ये मुफ़्ती ए आज़म ने है बात भी समझाई
की नूर फ़हम वालों ने इस की पज़ीराई
संग ए दर ए जानाँ पर करता हूँ जबीं साई
सज्दा न समझ नजदी सर देता हूँ नज़राना

Hasrat Kahe Aankhon Ki Aur Dil Kahe Mastaana
Deewane ki aahon ko kya theek hai tadpaana
Mushkil hua jaata hai jazbaat ko samjhaana
Bekhud kiye dete hain andaaz-e-hijabaana
Aa dil mein tujhe rakh loon, aye jalwa-e-jaanana

Chaudah sau baras pehle chhalka tha jo paimaana
Baghdad mein Kaliyar mein uska hai nasha khaana
Kehte hain sabhi tera hai kaam kareemaana
Itna to karam karna aye Nargis-e-Mastaana
Jab jaan labon par ho tum saamne aa jaana

Bebas ko, yateemon ko seene se lagaaya hai
Duniya ne giraaya tha, Aaqa ne uthaaya hai
Kehta hua ik aashiq darbaar mein aaya hai
Duniya mein mujhe tum ne jab apna banaaya hai
Mahshar mein bhi keh dena, yeh hai mera deewaana

Aye yaad-e-Nabi tera gham hans ke piye jaaoon
Woh din na kabhi aaye bin tere jiye jaaoon
Har haal mein ik tera bas naam liye jaaoon
Kya baat ho Mahshar mein main shikwe kiye jaaoon
Woh hans ke kahe jaayein deewaana hai deewaana

Kuch aisi salaasat se ulfat se mile aankhen
Maghmoom mere dil ka qaasid yun bane aankhen
Darbaar mein Aaqa ke har haal kahein aankhen
Jee chahta hai de doon tohfe mein unhein aankhen
Darshan ka to darshan ho nazraane ka nazraana

Batte hain zameen par jo sadqe hain isi dar ke
Aflak pe roshan woh zarre hain isi dar ke
Haasil hai mujhe jo kuch rutbe hain isi dar ke
Bedam teri qismat mein sajde hain isi dar ke
Chhoota hai na chhootega sang-e-dar-e-jaanana

Jis se thi khirad aajiz woh ishq ne kehlaayi
Yeh Mufti-e-Azam ne hai baat bhi samjhaayi
Ki noor fahm walon ne iski pazeeraayi
Sang-e-dar-e-Jaanaan par karta hoon jabeen saayi
Sajda na samajh, nazde sar deta hoon nazraana