WhatsApp logo Join Naat Group

Rakh Len Wo Jo Dar Par Mujhe Darban Waghaira / रख लें वो जो दर पर मुझे दरबान वग़ैरा

रख लें वो जो दर पर मुझे दरबान वग़ैरा
फिर क्या है मेरे सामने सुल्तान वग़ैरा

ख़ैरात मिली हो जिन्हें सरकार के दर से
दुनिया के उठाते नहीं एहसान वग़ैरा

आक़ा की चटाई की तो वो शान है वल्लाह
बस नाम के हैं तख़्त ए सुलैमान वग़ैरा

बनना है मुझे ख़ाक ए रह ए शहर ए मदीना
बन कर मुझे रहना नहीं मेहमान वग़ैरा

तासीर ए लुआब ए दहन ए पाक है ऐसी
सर क़दमों में रख देते हैं लुक़मान वग़ैरा

बू-सीरी की इक नात ने वो रंग जमाया
लोगों के धरे रह गए दीवान वग़ैरा

हो हुक्म तो ले आऊँ मैं जन्नत में उन्हें भी
कुछ रह गए बाक़ी जो सना ख़्वान वग़ैरा

आएँ तो सही आप के मँगते के मुक़ाबिल
जितने भी ज़माने के हैं सुल्तान वग़ैरा

Rakh Len Wo Jo Dar Par Mujhe Darban Waghaira
phir kya hai mere saamne sultaan waGaira

KHairaat mili ho jinhe.n sarkaar ke dar se
duniya ke uThaate nahi.n ehsaan waGaira

aaqa ki chaTaai ki to wo shaan hai wallah
bas naam ke hai.n taKHt-e-sulaimaan waGaira

ban.na hai mujhe KHaak-e-rah-e-shehr-e-madina
ban kar mujhe rehna nahi.n mehmaan waGaira

taaseer-e-lu’aab-e-dahan-e-paak hai aisi
sar qadmo.n me.n rakh dete hai.n luqmaan waGaira

bu-siri ki ik naa’t ne wo rang jamaaya
logo.n ke dhare reh gae deewaan waGaira

ho hukm to le aau.n mai.n jannat me.n unhe.n bhi
kuchh reh gae baaqi jo sana-KHwaan waGaira

aae.n to sahi aap ke mangte ke muqaabil
jitne bhi zamaane ke hai.n sultaan waGaira