झुकी हुई है जबीन ए दिल भी लबों पे आक़ा का नाम आया
क़लम भी लगता है सर ब सज्दा अदब का ऐसा मक़ाम आया
हुज़ूर ए वाला की ज़ात पर जब सलाम भेजा तो फिर न पूछो
ख़ुदा की जानिब से मेरी जानिब ख़ुदा के घर से सलाम आया
हुआ ये महसूस जाम ए कौसर छलक रहा है मेरी नज़र में
जो मेरे आक़ा के ज़िक्र ए अनवर का मेरे होंटों पे जाम आया
वहीं वहीं पर परों को अपने बिछा दिया है मलाइका ने
जहाँ जहाँ भी रसूल ए अरबी ख़ुदा का देने पयाम आया
मे’राज की शब रसूलों नबियों ने देखा जब तो पुकार उट्ठे
उठो और उठ कर सफ़ें बनाओ है आज हमारा इमाम आया
नबी के दीं पे लुटा के सब कुछ हुसैन इब्न ए अली थे बोले
हमीं वो हैं जिन के हिस्से में बस शहादतों का है जाम आया
आमाल तो न थे मेरे अच्छे ब रोज़ ए महशर हुई है बख़्शिश
क़बर हशर में है सय्यिदा का अदब ही बस मेरे काम आया
शहाब दिल की ये आरज़ू है रसूल ए अकरम के दर पे जा के
सदा लगाऊँ नवाज़ दीजे हुज़ूर दर पर ग़ुलाम आया
Jhuki Hui Hai Jabeen e Dil Bhi Labon Pe Aaqa Ka Naam Aaya
qalam bhi lagta hai sar-ba-sajda adab ka aisa maqaam aaya
huzoor-e-waala ki zaat par jab salaam bheja to phir na poochho
KHuda ki jaanib se meri jaanib KHuda ke ghar se salaam aaya
huaa ye mehsoos jaam-e-kausar chhalak raha hai meri nazar me.n
jo mere aaqa ke zikr-e-anwar ka mere honTo.n pe jaam aaya
wahi.n wahi.n par paro.n ko apne bichha diya hai malaaika ne
jahaa.n jahaa.n bhi rasool-e-arabi KHuda ka dene payaam aaya
me’raaj ki shab rasoolo.n nabiyo.n ne dekha jab to pukaar uTThe
uTho aur uTh kar safe.n banaao hai aaj hamaara imaam aaya
nabi ke dee.n pe luTa ke sab kuchh husain ibn-e-‘ali the bole
hami.n wo hai.n jin ke hisse me.n bas shahaadato.n ka hai jaam aaya
aa’maal to na the mere achchhe ba-roz-e-mehshar hui hai baKHshish
qabar hashar me.n hai sayyida ka adab hi bas mere kaam aaya
Shahaab ! dil ki ye aarzoo hai rasool-e-akram ke dar pe ja ke
sada lagaau.n nawaaz deeje, huzoor ! dar par Gulaam aaya