शुजाअत नाज़ करती है जलालत नाज़ करती है
वो सुल्तान ए ज़माँ हैं उन पे शौकत नाज़ करती है
सदाक़त नाज़ करती है अमानत नाज़ करती है
हुमिय्यत नाज़ करती है मुरव्वत नाज़ करती है
शह ए ख़ूबाँ पे हर ख़ूबी ओ ख़स्लत नाज़ करती है
करीम ऐसे हैं वो उन पर करामत नाज़ करती है
जहान ए हुस्न में भी कुछ निराली शान है उन की
नबी के गुल पे गुलज़ारों की ज़ीनत नाज़ करती है
शहंशाह ए शहीदाँ हो अनोखी शान वाले हो
हुसैन इब्न ए अली तुम पर शहादत नाज़ करती है
बिठा कर शाना ए अक़दस पे कर दी शान दो-बाला
नबी के लाडलों पर हर फ़ज़ीलत नाज़ करती है
ज़बीन ए नाज़ उन की जल्वा गाह ए हुस्न है किस की
रुख़ ए ज़ेबा पे हज़रत की मलाहत नाज़ करती है
निगाह ए नाज़ से नक़्शा बदल देते हैं आलम का
अदा ए सरवर ए ख़ूबाँ पे नुदरत नाज़ करती है
फ़िदाई हूँ तो किस का हूँ कोई देखे मेरी क़िस्मत
क़दम पर जिस हसीं की जान ए तलअत नाज़ करती है
ख़ुदा के फ़ज़्ल से अख़्तर मैं उन का नाम लेवा हूँ
मैं हूँ क़िस्मत पे नाज़ाँ मुझ पे क़िस्मत नाज़ करती है
Shujaat Naaz Karti Hai Jalalat Naaz Karti Hai
wo sultaan-e-zamaa.n hai.n, un pe shaukat naaz karti hai
sadaaqat naaz karti hai, amaanat naaz karti hai
humiyyat naaz karti hai, murawwat naaz karti hai
shah-e-KHoobaa.n pe har KHoobi-o-KHaslat naaz karti hai
kareem aise hai.n wo un par karaamat naaz karti hai
jahaan-e-husn me.n bhi kuchh niraali shaan hai un ki
nabi ke gul pe gulzaaro.n ki zeenat naaz karti hai
shahanshaah-e-shaheedaa.n ho, anokhi shaan waale ho
husain ibn-e-‘ali ! tum par shahaadat naaz karti hai
biTha kar shaana-e-aqdas pe kar di shaan do-baala
nabi ke laaDlo.n par har fazeelat naaz karti hai
zabeen-e-naaz un ki jalwa-gaah-e-husn hai kis ki
ruKH-e-zeba pe hazrat ki malaahat naaz karti hai
nigaah-e-naaz se naqsha badal dete hai.n ‘aalam ka
ada-e-sarwar-e-KHoobaa.n pe nudrat naaz karti hai
fidaai hu.n to kis ka hu.n, koi dekhe meri qismat
qadam par jis hasee.n ki jaan-e-tal’at naaz karti hai
KHuda ke fazl se, aKHtar ! mai.n un ka naam-lewa hu.n
mai.n hu.n qismat pe naazaa.n, mujh pe qismat naaz karti hai