Wo Din Aaega Ik Baar Main Madine Jaaunga / वो दिन आएगा इक बार मैं मदीने जाऊँगा

वो दिन आएगा इक बार मैं मदीने जाऊँगा
करने रोज़े का दीदार मैं मदीने जाऊँगा

वो दिन आएगा इक बार मैं मदीने जाऊँगा

मुझ को यक़ीं है करम करेंगे आमिना बी के लाल
उन को तो मालूम है वल्लाह मेरे दिल का हाल
कहते हैं ये दिल के तार मैं मदीने जाऊँगा

वो दिन आएगा इक बार मैं मदीने जाऊँगा

ग़ौस ओ ख़्वाजा लाल कलंदर मेरे सच्चे पीर
उन की निस्बत का सरमाया है मेरी जागीर
वो कर देंगे बेड़ा पार मैं मदीने जाऊँगा

वो दिन आएगा इक बार मैं मदीने जाऊँगा

है आमिना में मीम हलीमा में मीम है
मेहराब में है मीम तो मिम्बर में मीम है
मीनार में है मीम तो मस्जिद में मीम है
ईमान में है मीम तो मुस्लिम में मीम है
मीलाद में है मीम तो महफ़िल में मीम है
एहराम में है मीम तो ज़मज़म में मीम है
पैग़ाम में है मीम पैग़म्बर में मीम है
इस्लाम में है मीम तो मज़हब में मीम है
नमाज़ में है मीम तो कलमे में मीम है
अहमद में मीम है तो मुहम्मद में मीम है
मक्के में मीम है तो मदीने में मीम है
इस मीम का है राज़ अलिफ़ लाम मीम में

वो दिन आएगा इक बार मैं मदीने जाऊँगा

देखा नहीं उन का दर अब तक क्या होगा अंजाम
मेरे दिल की धड़कन मुझ को देती है पैग़ाम
मरने से पहले इक बार मैं मदीने जाऊँगा

वो दिन आएगा इक बार मैं मदीने जाऊँगा

क्या ग़म है कि जकड़े हुए है दूरी की ज़ंजीर
मिल जाएगी मुझ को मेरे ख़्वाबों की ता’बीर
जिस दिन चाहेंगे सरकार मैं मदीने जाऊँगा

वो दिन आएगा इक बार मैं मदीने जाऊँगा

शाह ए मदीना रहमत ए आलम नबियों के सरदार
देखें कब दिखलाएँ अपना नूरानी दरबार
मैं तो हूँ कब से तैयार मैं मदीने जाऊँगा

वो दिन आएगा इक बार मैं मदीने जाऊँगा

Wo Din Aaega Ik Baar Main Madine Jaaunga
Karne Roze Ka Deedaar Main Madine Jaaunga

Wo Din Aaega Ik Baar Main Madine Jaaunga

Mujh Ko Yaqeen Hai Karam Karenge Amina Bibi Ke Laal
Unko To Maaloom Hai Wallah Mere Dil Ka Haal
Kehte Hain Ye Dil Ke Taar Main Madine Jaaunga
Wo Din Aaega Ik Baar Main Madine Jaaunga

Ghaus-o-Khwaja Laal Qalandar Mere Sachche Peer
Unki Nisbat Ka Sarmaya Hai Meri Jaageer
Woh Kar Denge Beda Paar Main Madine Jaaunga
Wo Din Aaega Ik Baar Main Madine Jaaunga

Hai Amina Mein Meem Halima Mein Meem Hai
Mehrab Mein Hai Meem To Mimbar Mein Meem Hai
Minar Mein Hai Meem To Masjid Mein Meem Hai
Emaan Mein Hai Meem To Muslim Mein Meem Hai
Meelaad Mein Hai Meem To Mehfil Mein Meem Hai
Ehraam Mein Hai Meem To Zamzam Mein Meem Hai
Paighaam Mein Hai Meem Paighambar Mein Meem Hai
Islam Mein Hai Meem To Mazhab Mein Meem Hai
Namaaz Mein Hai Meem To Kalme Mein Meem Hai
Ahmad Mein Meem Hai To Muhammad Mein Meem Hai
Makke Mein Meem Hai To Madine Mein Meem Hai
Is Meem Ka Hai Raaz Alif Laam Meem Mein
Wo Din Aaega Ik Baar Main Madine Jaaunga

Dekha Nahi Unka Dar Ab Tak Kya Hoga Anjaam
Mere Dil Ki Dhadkan Mujhko Deti Hai Paighaam
Marne Se Pehle Ik Baar Main Madine Jaaunga
Wo Din Aaega Ik Baar Main Madine Jaaunga

Kya Gham Hai Ke Jakde Hue Hain Doori Ki Zanjeer
Mil Jaayegi Mujhko Mere Khwabon Ki Taabeer
Jis Din Chaheinge Sarkaar Main Madine Jaaunga
Wo Din Aaega Ik Baar Main Madine Jaaunga

Shah-e-Madina Rahmat-e-Aalam Nabiyon Ke Sardar
Dekhein Kab Dikhlaayein Apna Noorani Darbaar
Main To Hoon Kab Se Tayyar Main Madine Jaaunga
Wo Din Aaega Ik Baar Main Madine Jaaunga