WhatsApp logo Join Naat Group

तेरे होते जन्म लिया होता / Tere hote janm liya hota

तेरे होते जन्म लिया होता
फिर कभी तो तुझे मिला होता

तू चला करता मेरी पलकों पर
काश मे तेरा रास्ता होता

ज़ररा होता में तेरी राहों का
तेरे कदमों को चूमता होता

लड़ता फिरता मैं तेरे आदा से
तेरी खातिर मैं मर गया होता

चांद होता मैं आसमानों पर
तेरी उंगली से कट गया होता

आप आते मेरे जनाजे़ पर
तेरे होते ही मर गया होता

जान उन पर निसार कर देता
काश करबो-बला गया होता

काश पिस जाता उनकी चक्की में
दाना ज़हरा के नाम का होता

नात ख्वां
अज़मत रजा़ भागलपुरी

Tere hote janm liya hota
Phir kabhi to tujhe mila hota

Tu chala karta meri palkon par
Kaash main tera raasta hota

Zara hota main teri raahon ka
Tere kadmon ko choomta hota

Ladta phirta main tere aada se
Teri khatir main mar gaya hota

Chaand hota main aasmanon par
Teri ungli se kat gaya hota

Aap aate mere janaze par
Tere hote hi mar gaya hota

Jaan un par nisaar kar deta
Kaash karbo-bala gaya hota

Kaash pis jaata unki chakki mein
Dana zahra ke naam ka hota

Naat Khwán
Azmat Raza Bhagalpuri