WhatsApp logo Join Naat Group

Tayba ke jaane wale ja kar bade adab se / तयबा के जाने वाले जा कर बड़े अदब से

तयबा के जाने वाले जा कर बड़े अदब से
मेरा भी क़िस्सा ए ग़म कहना शह ए अरब से

कहना कि शाह ए आली इक रंज ओ ग़म का मारा
दोनों जहाँ में इस का हैं आप ही सहारा

हालात ए पुर अलम से हर दम गुज़र रहा है
और काँपते लबों से फ़रियाद कर रहा है

बार ए ग़ुनाह अपना है दोश पर उठाए
कोई नहीं है ऐसा जो पूछने को आए

भटका हुआ मुसाफ़िर मंज़िल को ढूँडता है
तारीकियों में माह ए कामिल को ढूँडता है

सीने में है अँधेरा दिल है सियाह ख़ाना
ये सब मेरी हक़ीक़त सरकार को सुनाना

कहना मेरे नबी से महरूम हूँ ख़ुशी से
सर पर इक अब्र ए ग़म है अश्क़ों से आँख नम है

पामाल ए ज़िंदगी हूँ सरकार उम्मती हूँ
उम्मत के रहनुमा हो कुछ अर्ज़ ए हाल सुन लो

फ़रियाद कर रहा हूँ मैं दिल फ़िगार कब से
मेरा भी क़िस्सा ए ग़म कहना शह ए अरब से

तयबा के जाने वाले जा कर बड़े अदब से
मेरा भी क़िस्सा ए ग़म कहना शह ए अरब से

कहना कि खा रहा हूँ मैं ठोकरें जहाँ में
तुम ही बताओ आक़ा जाऊँ भला कहाँ मैं

महसूस कर रहा हूँ, दुनिया है एक धोका
मतलब के यार हैं सब कोई नहीं किसी का

किस को मैं अपना जानूँ किस का मैं लूँ सहारा
मुझ को तो मेरे आक़ा है आप का सहारा

तुम ही सुनोगे मेरी तुम ही करम करोगे
दोनों जहाँ में तुम ही मेरा भरम रखोगे

तुम दाद ख़्वाह ए आलम मैं इक नसीब-ए-बरहम
तुम बे-कसों के वाली मैं बे नवा सवाली

तुम आसियों का यारा मैं गर्दिशों का मारा
रहमत हो तुम सरापा मैं मुर्तक़िब ख़ता का

हूँ शर्मसार अपने आमाल के सबब से
मेरा भी क़िस्सा ए ग़म कहना शह ए अरब से

तयबा के जाने वाले जा कर बड़े अदब से
मेरा भी क़िस्सा ए ग़म कहना शह ए अरब से

ए आज़ीम ए मदीना जा कर नबी से कहना
सोज़ ए ग़म ए अलम से अब जल रहा है सीना

कहना के दिल में लाखों अरमाँ भरे हुए हैं
कहना के हसरतों के नश्तर चुभे हुए हैं

है आरज़ू ये दिल की मैं भी मदीने जाऊँ
सुल्तान ए दो जहाँ को सब दाग़ ए दिल दिखाऊँ

काटूँ हज़ार चक्कर तयबा की हर गली के
यूँही गुज़ार दूँ मैं अय्याम ज़िंदगी के

फूलों पे जाँ निसारूँ काटों पे दिल को वारूँ
ज़र्रों को दूँ सलामी दर की करूँ ग़ुलामी

दीवार ओ दर को चूमूँ क़दमों पे सर को रख दूँ
महबूब से लिपट कर रोता रहूँ बराबर

आलम के दिल में है ये हसरत न जाने कब से
मेरा भी क़िस्सा ए ग़म कहना शह ए अरब से

तयबा के जाने वाले जा कर बड़े अदब से
मेरा भी क़िस्सा ए ग़म कहना शह ए अरब से


Tayba ke jaane wale ja kar bade adab se
Mera bhi qissa-e-gham kehna Shah-e-Arab se

Kehna ke Shah-e-Aali ik ranj-o-gham ka maara
Dono jahan mein is ka hain aap hi sahaara

Halaat-e-pur alam se har dam guzar raha hai
Aur kaamptay labon se faryaad kar raha hai

Baar-e-ghunaah apna hai dosh par uthaye
Koi nahi hai aisa jo poochhne ko aaye

Bhatka hua musafir manzil ko dhoondta hai
Tareekiyon mein maah-e-kaamil ko dhoondta hai

Seene mein hai andhera dil hai siyaah khaana
Ye sab meri haqeeqat Sarkaar ko sunaana

Kehna mere Nabi se mehroom hoon khushi se
Sar par ik abr-e-gham hai ashqon se aankh nam hai

Paamaal-e-zindagi hoon Sarkaar ummati hoon
Ummat ke rahnuma ho kuch arz-e-haal sun lo

Faryaad kar raha hoon main dil figaar kab se
Mera bhi qissa-e-gham kehna Shah-e-Arab se

Tayba ke jaane wale ja kar bade adab se
Mera bhi qissa-e-gham kehna Shah-e-Arab se

Kehna ke khaa raha hoon main thokrein jahan mein
Tum hi batao aaqa jaoon bhala kahaan main

Mehsus kar raha hoon, duniya hai ek dhoka
Matlab ke yaar hain sab koi nahi kisi ka

Kis ko main apna jaanoon kis ka main loon sahaara
Mujh ko to mere aaqa hai aap ka sahaara

Tum hi sunoge meri tum hi karam karoge
Dono jahan mein tum hi mera bharam rakhoge

Tum daad khwaah-e-aalam main ik naseeb-e-barham
Tum bekasoon ke waali main be-naawa sawaali

Tum aaseeyon ka yaara main gardishon ka maara
Rehmat ho tum sarapa main murtakib khata ka

Hoon sharmasaar apne aamaal ke sabab se
Mera bhi qissa-e-gham kehna Shah-e-Arab se

Tayba ke jaane wale ja kar bade adab se
Mera bhi qissa-e-gham kehna Shah-e-Arab se

Ae Azeem-e-Medina ja kar Nabi se kehna
Soz-e-gham-e-alam se ab jal raha hai seena

Kehna ke dil mein lakhon armaan bhare hue hain
Kehna ke hasraton ke nashtar chubhe hue hain

Hai aarzoo ye dil ki main bhi Madine jaoon
Sultan-e-do-jahan ko sab daagh-e-dil dikhaoon

Kaatoon hazaar chakkar Tayba ki har gali ke
Yoonhi guzaar doon main ayyaam zindagi ke

Phoolon pe jaan nisaarooon kaaton pe dil ko waaroon
Zarron ko doon salaami dar ki karoon ghulami

Deewar-o-dar ko choomoon qadamon pe sar ko rakh doon
Mahboob se lipat kar rota rahoon barabar

Aalam ke dil mein hai ye hasrat na jaane kab se
Mera bhi qissa-e-gham kehna Shah-e-Arab se

Tayba ke jaane wale ja kar bade adab se
Mera bhi qissa-e-gham kehna Shah-e-Arab se