WhatsApp logo Join Naat Group

Shabbir bachpan ka wada / शब्बीर बचपन का वादा

मेरे शब्बीर बचपन का वादा
आज करने वफा़ जा रहे हैं
छोड़कर अपने नाना का रौजा़
सू ए कर्बो बला जा रहे हैं

खू़न अपने जिगर का पिलाने
सर को सज्दे में रखकर कटाने
देखो दीने‌ नबी को बचाने
इब्ने शेरे खुदा जा रहे हैं
मेरे शब्बीर बचपन का वादा

आज करने वफा़ जा रहे हैं
हाथ में जुल्फि़का़रे अ़ली है
बातिलों में अजब खलबली है
बच न पायेगा जा़लिम यजी़दी
बनके उसकी क़जा जा रही है

जब मदीने में ह़सनैन चलते
देखने वाले अक्सर ये कहते
देख कर अब हमें लग रहा है
जैसे खै़रुल वरा जा रहे हैं

राह में इब्ने हैदर ये बोले
देखने वालो है़रान क्यों हो
गुलशने दीने नाना को हम सब
आज करने हरा जा रहे हैं

अब नदीमें रजा़ ये बता दे
अहले-मह़फिल को मुज़्दा सुना दे
बारगाहे हुसैनी में हम भी
लेने अपनी दवा जा रहे हैं

Shabbir bachpan ka wada
Aaj karne wafa ja rahe hain
Chhodkar apne nana ka rauza
Sue Karbo bala ja rahe hain

Khoon apne jigar ka pilane
Sar ko sajde mein rakhkar katane
Dekho deen-e-nabi ko bachane
Ibne Sher-e-Khuda ja rahe hain
Mere Shabbir bachpan ka wada

Aaj karne wafa ja rahe hain
Haath mein Zulfiqar-e-Ali hai
Baatilon mein ajab khalbli hai
Bach na payega zalim Yazidi
Ban ke uski qaza ja rahi hai

Jab Madine mein Hasnain chalte
Dekhne wale aksar ye kehte
Dekh kar ab humein lag raha hai
Jaise Khairul Wara ja rahe hain

Raah mein Ibne Haider ye bole
Dekhne walon, hairaan kyun ho?
Gulshan-e-deen-e-nana ko hum sab
Aaj karne hara ja rahe hain

Ab Nadeem-e-Raza ye bata de
Ahle-mahfil ko muzda suna de
Barghahe Husaini mein hum bhi
Lene apni dawa ja rahe hain