ग़म के मारो चलो बे सहारो चलो
बे कसों का सहारा बरैली में है
एक आ़लम मुनव्वर है जिस ज़ात से
हां वही माह पारा बरैली में है
का़दरी आस्मां के दरख़्शां का मैं
आ़ला ह़ज़रत के नामी गिरामी पिसर
जल्वा ए ग़ौस आता था जिस में नज़र
वो रज़ा का दुलारा बरैली में है
जिससे है अहले सुन्नत की खेती हरी
जिसको कहते हैं अख़्तर रज़ा अज़हरी
वारिसे इ़ल्मे अह़मद रज़ा जो बना
फ़ख़्रे अज़हर हमारा बरैली में है
गु़स्ले काबा का जिसको शरफ़ है मिला
फ़ख़्रे अज़हर का जिसको लक़ब है मिला
अहले सुन्नत को जिस पर बहुत नाज़ है
ऐसा मुर्शिद हमारा बरैली में है
डूबने वालो ज़ुल्मत के तूफ़ान में
मुफ़्ती ए आ़ज़मे हिन्द का नाम लो
नूर वाला बनाएंगे नूरी मियां
नूर का एक मिनारा बरैली में है
जल्वा गर हैं जहां शाह अह़मद रज़ा
मुफ़्ती ए आ़ज़मे हिन्द अख़्तर रज़ा
गौर से देखिये तो नज़र आएगा
चांद सूरज सितारा बरैली में हैं
Gham ke maaro chalo be saharo chalo
Be kaso ka sahara Bareilly mein hai
Ek aalam munawwar hai jis zaat se
Haan wahi maah para Bareilly mein hai
Kaadri aasman ke darakhshaan ka main
Aala Hazrat ke naami giraami pisar
Jalwa-e-Ghaus aata tha jis mein nazar
Woh Raza ka dulara Bareilly mein hai
Jisse hai Ahle Sunnat ki kheti hari
Jisko kehte hain Akhtar Raza Azhari
Warees-e-ilme Ahmad Raza jo bana
Fakhre Azhar humara Bareilly mein hai
Ghusle Kaaba ka jisko sharaf hai mila
Fakhre Azhar ka jisko laqab hai mila
Ahle Sunnat ko jis par bahut naaz hai
Aisa Murshid humara Bareilly mein hai
Doobne walon zulmat ke toofan mein
Mufti-e-Azam-e-Hind ka naam lo
Noor wala banayenge Noori Miya
Noor ka ek minara Bareilly mein hai
Jalwa gar hain jahan Shah Ahmad Raza
Mufti-e-Azam-e-Hind Akhtar Raza
Gaur se dekhiye to nazar aayega
Chaand Suraj Sitara Bareilly mein hain